Lyrics
Zameen-o-aasman ke maalik sun
Chod saare kaam tu zamee pe aa
Aake tuu khud dekh ke teri duniyaa
Nafratein kar rahiin hain kaise tabaah
Koi karta nahi kisi pe yakeen
Kaun kya hain chale pata bhi nahi
Haan magar unko sazaa milti hain
Jinki hoti hain koi khata hi nahiin
Ab har taraf ik ghana andhera hain
Bhej sooraj ya koi chaand dikha
Zameen-o-aasman ke maalik sun
Chod saare kaam tu zamee pe aa
Ab tere naam par tere bande
Is kadar itna khoon bahaate hain
Dekhkar jinko yeh samandar bhi
Apni aukaadon pe sharmaate hain
Tu nek de taufeek aakar
Jo bhi bhatke hain unhe sahi raah dikha
Zameen-o-aasman ke maalik sun
Chod saare kaam tu zamee pe aa
Lamhaa har lamhaa khauff bhara
Kyon hain yahaan... kyon hain yahaan