Lyrics
                                                                    
                                                                Makhmali ye badan ki, nazaakatein haseen 
Chura na le mere dil ka, chain ye kahin
Jis ne bhi banaaya hai tujhko, woh kamaal hai
Aur us kamaal pe tu, bemisaal hai  
Hai akeli raat gumsum, aur chhat ke neeche hum tum
Aankhon mein tere kaisa khumaar 
Ho na jaaye kuch khata dekho yaar
Bekaraar na dikha diwaangi 
Makhmali ye badan ki, nazaakatein haseen  
  
Mast mast ho raha hai, ye raat ka safar
Dil mein hulchale uthhaaye, teri nazar  
Sanjeevani: Gulaabi gulaabi tere, armaan jo hai diwaane
Tujhe chhod denge yunhi, tere haal par 
Bolo na, aisa oh eh jaane jaan 
Ek baar mujhko toh aazma 
Oh baatein teri baatein bekaar 
Chaahe tu karle koshish hazaar
Aayenge na baat mein, ye karle yaqeen 
Haay, makhmali ye badan ki, nazaakatein haseen 
  
Tanhaaiyon mein tanha, mile hain jo is tarha
Socho na aisa waisa, kya faayda 
Teri har adaa ki, shokhiyaan bhi kya kahen
Hum toh kya farishte bhi, na hosh mein rahen 
Na re na, hosh tu na gawa 
Kar le sabar kuch toh zara 
Haan milta nahin hai dil ko qaraar 
Kab tak karun main haaye intezaar
Hone de dil se dil ki milaawatein yahin  
Sanjeevani: Harkatein ye dikhaao, jaake aur kahin 
Hmm...jis ne bhi banaaya hai tujhko, woh kamaal hai
Aur us kamaal pe tu, bemisaal hai
Hai akeli raat gumsum, aur chhat ke neeche hum tum 
Ho ho aankhon mein tere kaisa khumaar 
Ho na jaaye kuch khata dekho yaar 
Hmm... 
Na na na na na na na na na...