Lyric of Hindi song Khudaa- E - Bartar Teri Zamin Par

Song Heading Singer Music By Director Name Movie / Album Actor Categories
Khudaa- e - bartar Teri Zamin Par Lata Mangeshkar -- -- Taj Mahal -- --

Average Rating: 0

Total Votes: 0

Lyrics

khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai
har ek fatah-o-zafar ke daaman pe Khoon-e-insaaN kaa rang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

zamin bhi teri, hain ham bhi tere, ye milkiyat kaa savaal kyaa hai
ye qatl-o-KhooN kaa rivaaz kyoN hai, ye rasm-e-jang-o-jadaal kyaa hai
jinhe talab hai jahaan bhar ki, unhi kaa dil itnaa tang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

Ghareeb maaNo shareef behnoN ko amn-o-izzat ki zindagi de
jinhe ataa ki hai tu ne taaqat, unhe hidaayat ki roshni de
saroN mein kibr-o-Ghuroor kyoN hain, diloN ke sheeshe pe jang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

Khazaa ke raste pe jaanevaaloN ko bach ke aane ki raah denaa
diloN ke gulshan ujaD na jaaye, muhabbatoN ko panaah denaa
jahaaN mein jashn-e-vafaa ke badle, ye jashn-e-teer-o-tafang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai
har ek fatah-o-zafar ke daaman pe Khoon-e-insaaN kaa rang kyoN hai
khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

Other Songs from this Movie / Album - Taj Mahal

Movies or Album

Film cast: --
Singers: Mohammed Rafi, Manna Dey, Asha Bhosle, Meena Kapoor, Lata Mangeshkar, Suman Kalyanpur, Minoo Purshottam
Lyricists: --
Film Director: --
Music Director: --
External Links: --

Featured Artist

Featured Artist

Dr. ACHARYA JAIMINI
Sitar Maestro

(A.B.I.) U.S.A. Awarded him “MAN OF THE YEAR MEDAL
National Excellency Award-2008, Plaque of Honour
Sitar recordings preserved in preservation libraries (Germany / Spain)

Registered Users

Featured Album

Visitor Count: 15223