Lyric of Hindi song Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai

Song Heading Singer Music By Director Name Movie / Album Actor Categories
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai Hariharan Raam Laxman Raam Laxman Hum Saath Saath Hain -- Kids

Average Rating: 0

Total Votes: 0

Lyrics

Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai,
Hai Magar Phir Bhi Anjaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai...

Janmdaata Hai Jo, Naam Jinse Mila,
Thamkar Jinki Ungli Hai Bachpan Chala,
Kaandhe Par Baithke, Jinke Dekha Jahaan,
Gyan Jinse Mila, Kya Bura Kya Bhala,
Itne Upkaar Hain Kya Kahen,
Yeh Bataana Na Aasaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai...

Janam Deti Hai Jo, Maa Jise Jag Kahe,
Apni Santaan Mein, Pran Jiske Rahe,
Loriyan Hothon Par, Sapne Bunti Nazar,
Neend Jo Vaar De, Hanske Har Dukh Sahe,
Mamta Ke Roop Mein Hai Prabhu,
Aapse Paaya Vardaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai...

Aapke Khwab Hum, Aaj Hokar Jawaan,
Us Param Shakti Se Karte Hain Prarthna,
Unki Chhaya Rahe, Rehti Duniya Talak,
Ek Pal Reh Sake Hum Na Jinke Bina,
Aap Dono Salaamat Rahe,
Sabke Dil Mein Yeh Armaan Hai,
Dharti Pe Roop Maa Baap Ka,
Us Vidhaata Ki Pehchaan Hai,
Yeh To Sach Hai Ki Bhagwan Hai...

Movies or Album

Film cast: --
Singers: Udit Narayan, Hariharan, Shankar Mahadevan, Hema Sardeasi, Kumar Sanu, Kavita Krishnamurthy, Alka Yagnik, Anuradha Paudwal, Roop Kumar Rathod
Lyricists: Ravinder Rawal
Film Director: --
Music Director: Raam Laxman
External Links: --

Featured Artist

Featured Artist

Sushanta/Anup Jalota
Classical Singer

Singing Bhajans
Singing Ghazals
Composing songs

Registered Users

Featured Album

Visitor Count: 360