| Song Heading | Singer | Music By | Director Name | Movie / Album | Actor | Categories |
|---|---|---|---|---|---|---|
| Revolver Rani Title Song | Usha Uthup | Sanjeev Srivastava | Sanjeev Srivastava | Revolver Rani | -- | -- |
Average Rating: 0
Total Votes: 0
Alka, Please apne aap ko surrender kar do Police force ne tumhe charo ore se gher liya hai) Ha ha ha.. Surrender? Zehreeli tarannum ka hissa hai Yeh shehar-e-jahannum ka qissa hai Yahaan bandookon ke paas bhasha hai Mohabbat ka khooni tamasha hai Iss bhasad mein ek thi Rani Baroodon ka woh pee ke paani Pattharon paalne mein paida hui woh nashtari.. Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn (Thaane se report aa gayi hai sir Chhati ghati ki firing ke piche Alka ka hi hath tha Oh damn it! Alka Alka Alka Ye cheez kya hai Alka ??) Tili baba ba ba ba dui da Tili baba ba ba ba dui da Taaye ro, taay ro, taay ro, taay ro, taay ha ha ha ha.. Uske khilono mein khanjar tha, kenchi thi Uski hatheli pe chhaala tha Uske gharati bhi bichhoo thhe, billi thi Usko sayyaron ne paala tha Aayi jawaani toh woh janaani Kheli apno ke khoon se, junoon se Jungle ko jeeta, mutthi mein bheencha Uske phira na jee saki sukoon se Phir qisse mein jo mod aaya Dil churaane jo chor aaya Woh tha gudda aankh neeli zehreeli soorat liye Kari uss kameene ne thaayn thaayn thaayn Mohabbat ke seene mein thaayn thaayn thaayn Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn Woh khooni daldal ke manzar mein rehti thi Par uske sapne salone thhe Uski haveli mein jhoomar thhe, naukar thhe Kaanton ke lekin bichhu bhi thhe Kaante nikaale hanske uchhaale Gham ke samandar ko pee gayi majaak mein Uski mohabbat thi aisi hadd tak Jaise jeeta ho ishq inquilab mein Aasmaan bhi dehal ke roya Bijliyon mein machal ke roya Maut jis din gungunayi Saanson mein uski suno Yeh uski kahaani hai thaayn, thaayn, thaayn Yeh sabko zabaani hai thaayn, thaayn, thaayn Revolver Rani ki thaayn, thaayn, thaayn Hai jungli jawaani ki thaayn, thaayn, thaayn (Bad news hai sir, Hum Alka ko nahi pakad paaye, Mujhe maaloom tha. Damn it!)Tweet
| Film cast: | -- |
| Singers: | Piyush Mishra, Sanjeev Srivastava, Rahul Gandhi, Garima Aneja, Asha Bhosle, Mayur Vyas, Abhishek Mukherjee, Gorisa, Anwesha Datta Gupta, Avi Dutta, Keka Ghoshal, Manjeera Ganguly, Sameera, Saleem Javed, Mr.k.r.shaji, Usha Uthup |
| Lyricists: | Shaheen Iqbal, Puneet Sharma |
| Film Director: | -- |
| Music Director: | Sanjeev Srivastava |
| External Links: | -- |