| Song Heading | Singer | Music By | Director Name | Movie / Album | Actor | Categories |
|---|---|---|---|---|---|---|
| Kaliyon jaisa rang | Pankaj Udhas | -- | -- | Naqoosh - Album | -- | -- |
Average Rating: 0
Total Votes: 0
Kaliyon jaisa rang shagufta, phoolon jaisi kaaya hai Kaliyon jaisa rang shagufta, phoolon jaisi kaaya hai Neenden ud gayin sab logon ki, neenden ud gayin sab logon ki Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai Kaliyon jaisa rang shagufta Uske chehre ki narmi se phool jawani maangen Uski roshan aankhon se raatein bhi kahani maangen Chalne ka andaaz hai vo maujein bhi rawani maangen Sabki aankhon mein vo rangeen sapna bankar chhaya hai Neenden ud gayin sab logon ki Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai Kaliyon jaisa rang shagufta Logon ka to kaam hai yeh, sholon ko hawa detein hain Chhoti chhoti baaton ka afsana bana detein hain Woh jis raste se bhi guzre, usko sada detein hain Woh ghar se kam hi nikle, yeh humne use samjhaya hai Neenden ud gayin sab logon ki Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai Kaliyon jaisa rang shagufta Mere haathon mein hai jaise uske haathon ki khushboo Meri tanhai mein jaise uski baaton ki khushboo Mere sheron mein hai jaise uski saanson ki khushboo Uske liye hain ghazalen nazmen shair jisne banaya hai Neenden ud gayin sab logon ki Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai Kaliyon jaisa rang shagufta, phoolon jaisi kaaya hai Neenden ud gayin sab logon ki, neenden ud gayin sab logon ki Jab se woh shehar mein aaya hai, jab se woh shehar mein aaya hai Kaliyon jaisa rang shagufta, kaliyon jaisa rang shagufta Kaliyon jaisa rang shaguftaTweet
| Film cast: | -- |
| Singers: | -- |
| Lyricists: | -- |
| Film Director: | -- |
| Music Director: | -- |
| External Links: | -- |