Lyrics
sarve bhavantu sukhina
sarve santu niramaya
sarve bhadrani pashhaantu
maakaschit dukh bhaa bhavet
hindustan - 4
meri aan meri shaan meri jaan hindustan
hindustan - 4
meri aan meri shaan meri jaan hindustan
paanch hazar warsha pehle isi ved mantra ka uchhar karke
param peeta parmatma ki yaachana karte sabka bhala karo bhagwan
sabko sukh aur shanti do aur paanchso warsha pehle
isi paath ko saral bhasha mein dohraya
nanak naam jalti kala
tere paani sarvata bhala
hindustan - 4
meri aan meri shaan meri jaan hindustan
parantu sabke liye sukh aur shanti maannewale hindustani
kya khud shanti se sakte, rehte bhi toh kaise rehte
unki dharti ka dusra naam sone ki chidiya hai
jiski mitti mein sona aur jungalo mein chandan hai
shayad isiliye prakriti ne iski suraksha ke liye
uttar mein himalaya dakshin mein hind mahasagar
purab mein bangal ki khadi aur paschim mein thar ka registan bana diya tha
hindustan - 4
meri aan meri shaan meri jaan hindustan
phir bhi sone ki chamak aur chandan ki khushbu bahar ke hamlaawaro ko lubhati rahi
sikandar ke ghodo ki taapo ne hamare dharti ke seene ki dhadkan tez kar di
tohun, mangol, arab, purtagali, francisi aur angrej koi pichhe na raha
sab aaye aur aate hi rahe,
shayad nahi jaante the ke jahaan sab duniyawale apni apni matroobhoomi se pyar karte hain
waha hindustani apni matroobhoomi ki pooja karte hain
jee haa pooja
hindustan - 4
meri aan meri shaan meri jaan hindustan
karodon hindustaniyon ki bhaavna ko shabdo mein dhaalte hue hi toh bankim babu ne kaha tha
sujalam sufalam malayaj shitalam shashya shamlam mataram vande vande mataram
hamlaawaro ko haar maankar wapas jaana pada
par kutch log yahi reh gaye unhe hamari dharti maa ne god le liye
aur itihaas sakhsi hai maa ne apni god se janme aur god liye bachho mein kabhi antar nahi kiya
shayad isiliye jab jab kisi hamlawar ne hamari dharti ke seene par paanv rakhna chaha
sab bachhe seena taankar saamne khade ho gaye aur seema suraksha ki deewar khadi ho gayi
hindustan - 4
meri aan meri shaan meri jaan hindustan
hamlwar iss deewar se takrakar wapas jaate rahe
jo unniso basat mein hua wahi san paisat aur wahi ikahattar mein
har baar hindustaniyon ne wapas jaate dushman ki or dosti ka haath badhaya
kyunki hamari mitti ne hamein sikhaya hain
yadi nafarat karne wale nafarat ka daaman nahi chhodte
toh mohabbat karne wale mohabbat ka daaman kyun chhode
hindustan - 4
meri aan meri shaan meri jaan hindustan