Lyric of Hindi song Ham Hind Ke Veer Sipaahi

Song Heading Singer Music By Director Name Movie / Album Actor Categories
Ham Hind Ke Veer Sipaahi Sonu Nigam -- -- Border Hindustan Ka -- --

Average Rating: 0

Total Votes: 0

Lyrics

ham hind ke veer sipaahi, hindustaan pe jaan luTaa denge -2
kashmeer himaalay ki khaatir -2, ham apnaa khoon bahaa denge
apnaa khoon bahaa denge, ham apnaa khoon bahaa denge
bole sohNe haal chorus: sat shri akaal
ham hind ke veer sipaahi, hindustaan pe jaan luTaa denge

hamen desh ki laaj bachaani hai, ghar likh bhejaa hai chiTThi mein
bahtaa hai khoon shahidoN kaa hindustaan ki miTTi mein
jab jab veeroN ki qurbaani apnaa rang dikhaayegi
bhaarat maaN khud haathoN se unko chandan tilak lagaayegi
chandan tilak lagaayegi -2
bole sohNe haal  sat shri akaal

seenchaa hai lahoo se hamne vatan, tab jaake mili hai aazaadi
dushman na nazar uThaanaa tu, varnaa hai teri barbaadi
Khvaab kabhi na pooraa hogaa, dushman ke armaan kaa
dekhe kaise paar kare vo borDar hindustaan kaa
borDar hindustaan kaa -2
bole sohNe haal  sat shri akaal
ham hind ke veer sipaahi, hindustaan pe jaan luTaa denge -2
kashmeer himaalay ki khaatir -2, ham apnaa khoon bahaa denge
apnaa khoon bahaa denge, ham apnaa khoon bahaa denge
bole sohNe haal (sat shri akaa ) - 3

Other Songs from this Movie / Album - Border Hindustan Ka

Movies or Album

Film cast: --
Singers: Udit Narayan, Jaspinder Narula, Sukhwinder Singh, Kumar Sanu, Vinod Rathod
Lyricists: --
Film Director: --
Music Director: --
External Links: --

Featured Artist

Featured Artist

Indrayudh Bose
Indian Classical Violinist

Award from West Bengal state Academy of Music
performance in many prestigious concerts in India & abroad
Invited as a spacial violin teacher for the summer school in Belgium

Registered Users

Featured Album