Lyric of Hindi song Gudiyaan Tujh Par Ik Pal

Song Heading Singer Music By Director Name Movie / Album Actor Categories
Gudiyaan Tujh Par Ik Pal Jagjit Singh -- -- Kahaani Gudiya Ki -- --

Average Rating: 0

Total Votes: 0

Lyrics

gudiyaan tujh par ik pal hasana ik pal rona aaye - 2
waqt bana woh bachcha jisake haath khilauna aaye
ik pal aaye, ik pal rona aaye - 2

aisi chali haalaat ki aandhi bujh gayi mann ki jyoti - 2
armaano ki doriyaan tuti bikhar gaye sab moti
tere ashkon ko maala mein - 2, kise pirona aaye, kise pirona aaye
ik pal aaye, ik pal rona aaye - 2

tera koi jor chale na iss duniya ke aage - 2
tujh par apana hukum chalaaye rasmo riwaaj ke dhaage
teri majboori ko - 2, ghum ka bojh hi dhona aaye
waqt bana woh bachcha jisake haath khilauna aaye
ik pal aaye, ik pal rona aaye - 2

sabne shor machaakar keh di apani apani baat - 2
baithi rahi ghaamosh si gudiyaan dil par rakh kar haath
paar lagaana koi na jaane - 2, sabko dubona aaye, sabko dubona aaye
ik pal aaye, ik pal rona aaye - 2

kaash kabhi kaanoon ki devi aankh se patti kholein - 2
dekh ke sab insaaf karein woh sach ko baraabar tolein
rasmon ke sang jajabon ko bhi - 2, use samona aaye
waqt bana woh bachcha jisake haath khilauna aaye
ik pal aaye, ik pal rona aaye - 2
gudiyaan tujh par ik pal hasana ik pal rona aaye
waqt bana woh bachcha jisake haath khilauna aaye
ik pal aaye, ik pal rona aaye - 2

Other Songs from this Movie / Album - Kahaani Gudiya Ki

Movies or Album

Film cast: --
Singers: Jagjit Singh
Lyricists: --
Film Director: --
Music Director: --
External Links: --

Featured Artist

Featured Artist

Vikas Khandelwal
Catelog Model

Taken Part in many theater plays
Professional Model
-

Registered Users

Featured Album

Visitor Count: 21244