| Song Heading | Singer | Music By | Director Name | Movie / Album | Actor | Categories |
|---|---|---|---|---|---|---|
| Dayaar-E-Dil Ki Raat Mein Charaag Sa | Asha Bhosle, Gulam Ali | -- | -- | Meraj-e-ghazal (non Film) | -- | -- |
Average Rating: 0
Total Votes: 0
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya wo dosti to kair ab nasib-e-dushmanaan huyi wo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya judaayiyon ke zakm dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi nind aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya pukaarati hain fursatein kahaan gayin wo sohabatein zamin nigal gayi unhein ya aasamaan kha gaya ye subaho ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aayine mein dekhata huun main kahaan chala gaya ye kis kushi ki ret par gamon ko nind aa gayi wo lahar kis taraf gayi ye main kahaan chala gaya gaye dinon ki laash par pade rahoge kab talak alamkasho utho ki aafataab sar pe aa gayaTweet
| Film cast: | -- |
| Singers: | Asha Bhosle, Gulam Ali |
| Lyricists: | -- |
| Film Director: | -- |
| Music Director: | -- |
| External Links: | -- |