Lyrics
barkha ki raat aai manva
kar le man ka baat
garajat sankat ka badarava
duhkh ki padat phuhaar
manava kar le man ka baat ...
kaari raina naagin achakaaye
jiyara dekh daraye
megha garaje jiyara laraje
kholo man ka dwaar
manava kar le man la baat ...
nainan se naina muskaaye
chhaaye jagat ujiyaara
mann mein jhar jhar amrit barase
jaisa saavan ki phuhaar
manava kar le man ka baat ...
aao barkha rut mein bole
byaakul mann ke bain
chhod jagat ki ulti reeti
jhootha hai sansaar
manava kar le ma ka baat ...