Lyric of Hindi song Apani Kaho Kuchh Meri Suno

Song Heading Singer Music By Director Name Movie / Album Actor Categories
Apani Kaho Kuchh Meri Suno Lata Mangeshkar, Talat Mahmood -- -- Parchhaiyan -- --

Average Rating: 0

Total Votes: 0

Lyrics

Lata:
apani kaho kuchh meri suno
kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gaye, kyaa bhuul gaye
Talat:
rone ki aadat aisi padi
hansane kaa taraanaa bhuul gaye, haan bhuul gaye

Lata:
kaali raaten bit gai
phir chaandani raaten aai hain - 2
Talat:
dil men nahin ujiyaalaa mere
gam ki ghataaen chhaai hain - 2
Lata:
prit ke vaade yaad karo
kyaa prit nibhaanaa bhuul gaye, kyaa bhuul gaye

Talat:
bhuulaa huaa hai raah musaafir
bichhadaa huaa hai manzil se - 2
Lata:khoe hue raste kaa pataa
tum puuchh lo kud apane dil se - 2
Talat:
chalate chalate aise thake
manzil kaa thikaanaa bhuul gaye, haan bhuul gaye

Lata:
nazdik aao, nazdeek aa 
yah mausam nahin phir aane kaa - 2
Talat:
nazdik shamaa ke jaane se
kyaa haal huaa parvaane kaa	 - 2
Lata:
mitane kaa fasaanaa yaad rahaa
jalane kaa fasaanaa bhuul gaye, kyaa bhuul gaye
apani kaho kuchh meri suno
kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gaye, kyaa bhuul gaye

Movies or Album

Film cast: --
Singers: --
Lyricists: --
Film Director: --
Music Director: --
External Links: --

Featured Artist

Featured Artist

Malyaban Chatterjee
North Indian Classical Vocalis

Regular artist if AIR
Performed in Leading Festival in India and abroad .
Runs his music academy "AAHIR

Registered Users

Featured Album

Visitor Count: 45426