Lyrics
(aisa bhi ek zamana aataa hai ashiqui mein) - 2
(jab maut ki tamanna) - 2 hoti hai zindagi mein
chhodunga main na daaman ai yaar zindagi mein
(jeena bhi ashiqui mein) - 2 marna bhi ashiqui mein
aisa bhi ek zamana aataa hai ashiqui mein
aisa bhi ek zamana
aankhon ke jharokon se dekha karenge tumko - 2
markar bhi hum to hamdam chaha karenge tumko
(aansu qubul mujhko) - 2 tere pyar ke khushi me
chhodunga main na daaman ai yaar zindagi mein
chhodunga main na daaman
chahat ke phool dilbar janm-o-janam khilenge - 2
bichhade kabhi jo marke jannat me phir milenge
(hai noor aasaman ka ) - 2 chahat ki chandani mein
aisa bhi ek zamana aataa hai ashiqui mein - 2
(jab maut ki tamanna) - 2 hoti hai zindagi mein
chhodunga main na daaman ai yaar zindagi mein